ad

Thursday 26 January 2017

Top Trend Website Ke Naam Name Of Top Trend Website


Top Trend Website Ke Naam Name Of Top Trend Website

Parivartan he vikas ki janni hai , agar parivartan nahi hai to development ka hona impossible hai . Online sansaar me Trends parivartan ka he naam hai. isliye mevaaj apko btauga top trend website ke baare me jo apko dunia m ho rahe new changes aur technology ki information dege

Kya Hai Trend What Is Trend

jab hum kisi ko new form ya haur style ya cloth style me dekhte hai to puchhte hai ki ye kaun sa style hai fir wo kehta hai ki bhai ye new style aaya hai wo new style he trend hai. iska term ka use purane jamane se hota raha hai jaise sabse pehle old movies me song me kuch khaas nahi lgta tha leking aaj ke new instruments se voice of singing m ek jaadu paida ho jata hai bus wohi trend hai. simple word me hum keh sakte hai ki dunia ki new requirement ke according hone wale change tatha new technich ka janm he trend hai.

Top Trend Website

Dosto aaj me aapko btauga un websites ke baare me jo deti hai latest aur fast trend info wo bhi bilkul free. Top trend website ke kuch naam niche diye gaye hai

FastTrendsInfo

Yeh website aapko popular trend ke sath sath latest news bhi uplabdh krati hai is trend website me aap apni man pasand catageory chun sakte hai sabse pehle aapko www.fasttrendsinfo.blogspot.com pe jana hoga fir aapko apni favourate categeory ko choice karna hoga finally aap apne favourate trend ke touch me ho jayege for more information aap hamar email box subscribe kar sakte hai

Springwise

Springwise ek top ranked trend website hai yeh latest trends ki information deti hai  iski help se aap apne news bussiness ke idea le sakte hai. yeh aapko aj  ke daur me adhik psand kiya jane wala topic bhi deta hai . isme aap investment , parternership aadi ki information bhi milegi. business kaisa bhi ho springwise website se aap apne business ko bulandi per pahucha sakte hai.

Trendwatching

World wide base pe work karne wali trendwatching.com bhi aapko latest top trend website me milegi . trendwatching second position pe hai yeh bhi aap jyada popular chizo ki information ghar baithe deti hai aur iske dwara ap apna online business kar sakte hai kehne ka matlab ye aapko business karne ke better idea deta hai.

Trend Hunter

Trend Hunter world ki top trend website me work karne wali tisri badi website hai isme aap sabse jyada popularity wali news payege isme apko help ke liy latest tech information work work karte ha abhi tak is website ki help se 85,462 Trend Hunters sucess ho chuke ho sakta hai next àap ho.

MoreInspiration

 MoreInspiration bhi ek best trend website hai jo best domains se aapko best and popular products aur technologies ki information deta hai

Trends@alltop

Is website ka main purpose hai ki aapke ruchi ke according her ek savaal ka javaab dena ki kaha kya ho raha hai. Ab aap log soch rahe hoge ki answer to google bhi deta hai fir google mw aur alltop me difference kya hai to aapko bta de ki google aapko answer deta hai ek fix question ka fi answer lekin alltop apko information deta hai uski filhaal ki condition ki , udaharan ke liye – yadi aap google se puchhe ki bharat ke jansankhya kya hai to wo answer de dega lekin agar aap google se puchhe ki bharat me filhaal kya ho raha hai to shayad wo answer na de paaye aapko is type ke answer alltop trend website pe milege.

NOTCOT

NOTCOT Inc ek din prtidin badhta network hai jisne top trend website me apna best place bnaya hai iski kafi website hai jo isse lik hai unme se NOTCOT.com  NOTCOT.org  NotCouture.com  Liqurious.com. ke contribution ko milakar NOTCOT inc ka janam hua. Yeh aapko best idea ke satha sath aisi kafi technic muhaiyaa karati hai jo aapke business me progress ke liye bahut important hai.

CoolBusinessIdeas

CoolBusinessIdeas.com jaisa ki naam se he pta chalta hai yeh ek asi trend website hai jo aapko aapke new business ya fir aapke current business ke liye ideas or concept deta hai iski help se aap market me customers ke taste ki information le sakte hai jo ki trend ka he ek part hai . yeh ek famous trend website hai.

PSFK

Lagbhag  1,000,000 readers from design digital marketing ya educational ideas ke purpose se is is trend website pea ate hai aur new ideas aur concept samajh kr apne online business ya fir apne blog me apply karte hai /

Trendcentral

Trendcetral ek research, insights and global trendsetter network of The Intelligence Group, trendcentral®  ke dwara powered hai jiska mukhya uddeshya new technology, lifestyle aur new trend pe focus kar unse latest jaankaari apne readers ko deni hoti hai. Kafi time ke hard work ke baad is website ne badi teji se grow kiya hai isme garments se related product jaise jeanse shirt etc ki trend information bhi aap is website se le sakte hai.

World Future Society

 Jaisa ki is website ke naam se he pata chalta hai ki is trend website ka main purpose hai apko aaj ke new politician scientists aur other personality ki thinking se avgat krana aur uske baad unke dialog se main concept nikaal kar aapki life me use karne ki prerna dena.

David Report

Yeh bhi ek last bached but effected trend website hai  iski  2006 ki shuruvaat se prakashit hone wali online magazine hai jiska pramukh karya hai readers ko online latest tren information dena.


Tuesday 24 January 2017

Bing Trends Quiz Kya Hai Isko Use Kaise Kare What Is Bing Trends Quiz How to Use It

Bing Trends Quiz Kya Hai Isko Use Kaise Kare What Is Bing Trends Quiz How to Use It


Kya Aap Sach Me Is News Ko Jaante Hai? yeh Janne ke liye mai Aakash Sharma Pesh Karta hu yeh Post. Microsoft’s Bing trends quiz ek Microsoft ki peshkash hai jisme aapko Knowlegdge ko increase karne ke liy ek quit test hota hai. Bing trends quiz me aapse koi bhi 10 question Puchhe jayege aur question hoge pichhle week ke top trends me se agar aap bilkul accuratr answer dete hai to bing trends quiz me aapko milega full score.
Dosto general knowledge aaj ke time ke liye ek important part ban gya hai aur general knowledge usi ki he strong rehti hai jo top stories aur trends ke touch me rehta hai. Isiliye Microsoft ne is quiz ko aayozit kiya hai taaki log latest stories aur top news me intrest le. Is weekly quiz ko khelne ke liye aapko kam se kam ek week ka wait karna hoga aur us week  ki top news se he aapko question diye jaayege isliye is quiz me high score lene ke liye aapko bing ke top stories ke touch me rehna hoga. Practice makes man perfect isliy agar aap first time low score achieve kare to niraash mat ho bus next time ke liye ready ho jaaye. Aapko bta de ki yeh peshkash naki apki knowledge bdhaiyegi balki sath he sath aapko aapke competition ke liye important question learn karne ka mauka degi.

Aisi bahut see quiz website hai jo apko question and answer dete hai lekin usme koi interest nahi hota kyuki unko aap kabhi bhi khel sakte hai lekin isko khelne ke liye aapko pure one week ka wait karna hoga jisse aapka excitement aur jyada duguna ho jayega. Agar aapka is quiz se juda koi bhi savaal ya javaab ho to aap niche diye gaye comment box me apna comment kar sakte hai aapke feedback sadar aamantrit hai. 

Must Read :- Free Mai Paise Kaise Kamaye Janne ke liye Click Kare

agar aap entertainment, culture, technology, and kisi or news categories ko daily basis pe follow karte hai to, yeh quiz ek best way hai jisse pta chalega ki aap un top trends news story ko kitne time tak yaad rakhte hai. kuch time pehle maine bhi us bing trends quiz ko khela tha lekin, mujhe bahut low score mila kyuki meri kuch khaas knowlegdge nahi thi trends se judi. In factly me 10 me se keval ek he answer correct de paya, aur bing ne mujhe btaya ki aapka ye week kuch khas nahi hai. Fir bing ne mujhe apne latest trends se joda taki me top stories ke touch me rahu.

Bing trends quiz ko kaise khele iske kuch steps niche diye gaye hai.
Steps
1. Sabse Pelhe Bing.com ke US page pe Jaye.
2. Uske Baad Carousel Ko ^ ke icon pe click karke open kare.
3. Navigate Karne pe aap  "Bing Weekly Quiz" Ka option dekhege.
4. Uske baad uspe tap karke click kare aur Weekly Bing Trivia ka luft uthaye.

Aapne Bing Trends Quiz me Kaisa Score Kiya Hume Jarur btaye.

Tuesday 3 January 2017

Kya hai BHIM APP BHIM App ko kaise use kare What is BHIM APP How to use BHIM app

Kya hai BHIM APP BHIM App ko kaise use kare What is BHIM APP How use BHIM app
BHIM App Kya Hai

Kya Hai BHIM App What is BHIM App

BHIM (Bharat Interface For Money) Ek Aisa aap hai jo bharat sarkaar ne shuru kiya hai tatha jiski sahayta se hum androi mobile se cashless paymrnt kar sakte hai jo hamare bank account se juda hota hai.BHIM APP ki madad se aap bina kisi bank ki kataar me lage bank se kisi bhi seller ko bhugtaan kar sakte hai. yeh app NPCI ( National Payment Of Corporation) Ke dwara develop ki gai hai. is app ko dusri Unified payment service (UPI) apps tatha bank accounts se joda gya hai 

Kaise Use Kare BHIM app ko How to Use BHIM app

jaisa ki aapko btaya yeh app android platform pr chlne wali app hai isko use karne ke liye aapko niche diye gaye steps ko follow karna hoga-
Step-1- sabse phle aapko niche diye gye link se BHIM app download karna hoga

                                       Download Free BHIM App

Step-2- iske baad app ko open kijiye aur tutorial ko next karte jaiye fir yh apke dono ya ek sim show karega jitne sim aapke android me hai uske according. ab jis mobile number ko apko register karna hai uspe tick karke next press kijiye

Step-3- Uske baad aapke mobile number se automatic ek message send ho jaega aur apki screen pr mobile verified likha aayega

Step-4- register hone ke baad aapko bank account aur 4 digit pin set karna hoga

Step-5- Sabhi steps ko pura karne ke baad aapka BHIM app use karne ke liye ready hai
b
BHIM app ke fayde Profits Benifits of BHIM app 

1. yeh app apke bank account me sidhe roop se judi hoti hai matlb koi third party nahi hoti bich me jisse fraud ya error ki koi possibility nahi hai

2. sabhi third party apps jaise paytm, mobikwik apps account se related sari information apne paas save rakhti hai jisse fraud hone ke chances badh jaate hai lekin BHIM app sidhe aapke account se judi hoti hai tatha yh koi information save nahi rakhti

3. BHIM app kendra sarkar se connected app hai isliye hum keh sakte hai yh ek government app hai

4.BHIM aap ke dwara payment karne ke liye internet connection ki jarurat nahi hoti

5.BHIM app ko use karna behad aasaan hai tatha isme bank dwara koi over charge nahi lagaya jata

6. iske dwara aap Send money, Request money,  Scan & pay aur apni sari transaction ka vivran dekhne jaisi suvidha ka laabh utha sakte hai.

Monday 2 January 2017

Free Me Blog kaise bnaye How create a blog without any cost

Blogging ek aisi activity hai jo dusro ke sath sath blogging karne wale ko bhi kafi kuch deti hai isliy blogging karna ek jarurat bhi hai blogging ke ye faayde hai

Blogging ke faayde Benifit of  Blogging

1. blogging se aap desh dunia ki technology ke contact me rehte hai
2. blog ko adsense se jodkar isse aap achhi khasi income generate kar skate hai 
3. aapki writing skill bahut achhi ho sakti hai
4. aap famous ho sakte hai
5. aap information ya news ya apna koi message dunia ke kisi bhi kone me pahuncha sakte hai
6. bina kisi kharche ke blog bna sakte hai

Sabse achha free blogging platform Best free Blogging platform 

vaise to kafi platform hai jo blogging ki suvidha pradaan karte hai lekin ye sab mostly chargable hai matlab inko use karne ke liye aapko he month payment karna hoga. lekin hamare paas kafi free options bhi hai aur unme sbse best hai Blogger.com ya blogspot.com

Blogger ya blogspot ke faayde Benifits of blogger or blogspot


Free-Me-Blog-kaise-bnaye-How-create-a-blog-without-any-cost

1. isko use karna behad aasaan hai
2. blogger me hosting ki aavshykta nahi padti
3. yeh bilkul free hai isme koi bhi charge nahi hai 
4 isko android se bhi use kiya ja sakta hai
5. isme html ya coding ki jaankaari ki koi jarurat nahi padti
yeh ek lite platform hai jo slow internet me bhi use kiya ja sakta hai

Kaise bnaaye blogger.com pe Blog How create Blog On Blogger.com

blogger pe blog bnanae ke kuch steps niche diye gye hai 
Step 1 - Blogger.com address pe jaaye
Step 2-  apna google account log in kare ya fire create an account kare
Step 3-  Uske Baad create a new blog pr click kare
Step 4- uske baad title aur address daliye aur apni manchahi template choose kare Title me aapke blog ka naam tatha address me apka url hoga agar wo url kisi or ne use nahi kiya hoga to available likha aa jaega agar wo url kisi or ne bhi use kar rakha hoga to not available likha aayega fir aapko koi or address ya url use karna hoga 
Aur finaal aapka free blog taiyaar hai isme aap kuch bhi post kar sakte hai aur best traffic aane ke baad aap adsense ke dwara isse income genrate kar sakte hai 

Tags - Google Adsense, Blogging, blogger.com, Blog, Earn money

Google Adsense Se Paise Kaise Kamaye How Earn Money From Google Adsense

Google adsense World ka sabse bada advertisement platform hai Dosto yeh mere blog ki first post hai jisme mai aapko btauga ki adsense kya hai aur isse income kaise milti hai ? Aapne bahut search kiya hoga ya dekha hoga ki online paise kaise kamaye ya fir internet se income kaise kare to dosto aaj me lekar aaya hu ek best internet income source.

Kya Hai Google Adsense

Dosto jab aap koi bhi website khlote hai to apko usme kuch advertisement show hote hai  jaise ki niche diye gaye image me dikhaya gya hai
 how to find long tail keywords

jis vyakti ki site pr ye advertisement (ad) lage hote hai usko publisher kehte hai tatha jis company ke advertisement show hote hai usko advertiser kehte hai . agar koi company chahati hai ki uski website pr adhik se adhik log aaye aur unka product purchage kare to uske liye ve google ke paas advertiser ban ke jaate hai aur logo ki website pr unka ad dikhane ki demand karte hai aur badle me unko paise payment karte hai fir google unke advertisement ko websites pr show karti hai . is company ko google adsense kehte hai.

Google Adsense Se Income Kaise Hoti hai

jin logo ke paas achhi website hai aur unpe achha khasa traffic aata hai to aap sab google adsense se achhi khasi income kar sakte hai bus aapko uske liye publisher bnna hoga. sabse phle aap google adsense ke liye apply karege agar adsense ko lga ki aapki website ad dikhane ke liye best hai to ve apki website pr advertisement show karna start kar degi. aur jitne adhik log aapke un advertisement pr click karege tatha us website pr jayege to aapko uske according income milegi jo aapke bank account me aa jaegi.dhyaan rakhe ki achhi income ke liye aapki website pr achha traffic ana chahiye otherwise aapki site se koi income generate nahi hogi.
Google adsense world ka sabse bada online income source hai lekin yeh unke liye hai jo achhi seo jante hai kyuki seo ka asar aapki income pr pdta hai.

Google Adsense se kitni income generate hoti hai 

jaisa maine aapko phle bhi btaya tha ki aap google adsense se kitna bhi kma sakte hai ye depend karta hai aapke website traffic pr aur aapke advertisement pe kitne click ho rahe hai kuch log saal bhar me bhi 100 $ nahi kma paate aur kuch 1 month me 600 $ kma lete hai isliye google adsene income generation depend karta hai apki website ke traffic pr matlb ki kitne log aapki website ko search kar rahe hai.




Stony Brook University

Moreover, there ar what's more numerous schools, together with universities of therapeutic claim to fame, Wellbeing Administration and ...